Huroob Kya hai pahle ham iske bare men jan lete hain, Jab koi Worker Apne Kafeel ke Kaam Par nahi hota hai ya ye kah sakte hain ki jab koi apne kafeel ka kaam chodh kar uske pass se bhag jata hai to unka kafeel Apne us worker ke Iqama Number par huroob laga deta hai|
Huroob sponsor(Kafeel) ke jariye se hi lagta hai Agar aap ke iqama par huroob lag gaya to aap saudi men illigle ho gaye aapka iqama kisi kaam ka nahi rah jaata hai aur aap par 3 years ke liye saudi men aane se pabandi lag jaati hai Check Your Iqama Huroob Status
Legal ways to remove “absent from work” from your Huroob status:
Saudi men rahne wale kharjiyon ke liye sabse Takleef Dah hota hai jab unke upar Huroob lag jata hai aisi surat e hal men wo koi kam nahi kar sakte ya kahin aa ja nahi sakte hain, Aapke Pass 3 legal Raste hote hain Apne kafeel se Huroob Hatwane ke liye jab aapke iqama par huroob laga ho,
1- Apne Sponsored ( Kafeel ) Se Request Karen Huroob Hatane ke liye Agar aapka kafeel Aapke manane se man jata hai Aur Aapke Upar se Huroob Hatane ko bolta hai to Wah Jawazat Ke Mulazim se Sampark karke Use Kuch Document Jama Karne padenge Like
Huroob Remove Fees Wagera
uske baad aapke upar se Huroob hat sakta hai
2- Apne Aapko Labor Coart Men Hajir Kar den Lekin Labor Coart men aap jayenge kaise kyon ki aap to gair kanooni hain maujoda hal men uske liye aapko Apni Embassy Se Sampark karna padega ya to Jis aria men aap rahte hain us aria ke ke kisi moataber (AMEER) Se Requesting Later Lena hoga aur uske bad aik wakeel karna hoga Jo aapke kafeel ke kilaf Baten karen Aur coart men Mukadma dakhil kare uske baad ho sakta hai ki aapke upar se Huroob Remove Kar diya jaye
3- Agar Koi case wagera nahi karna chahte hain aur aap apne mulk jana chahte hain to Ab Apke pass Last Chans aik hi bachta hai apne aapko Jawazat ko Surender kar den Jawazat aapko jail men bhej degi aur 15 -20 Day men aapko aapke mulk men bhej diya jayega