Jab Aap Saudi Arab Se bahar ja rahe rahe hon to sabse pahle aapako apna
criminal record on iqama par dekhna chahiye ki aap ke iqama par kya kya
criminal records hain aur aapako un criminals activities ki saza mili hai ya nahi. Saudi arab se bahar jane wale sabhi ko unake iqamakhilaph jo bhi criminal records hain jaise,
traffic violation, Governments telecom bill, aur bhi bahut si fines hain wo sabhi raashi ka bhugataan karana hoga lekin kabhi -kabhi ham ye bhi nahi pata hota hai ki hamara criminal record, hamre upar se khatam ho gaya hai ya nahi aise mamle mein use bahut jyada time barbadi ka saamana karana pad sakata hai. kabhi-kabhi aisa bhi hota hai ki koi galati se ya vaastavikata mein aapke khilaaph shikayat darj karata hai aur us baare mein aapko avagat nahi karata hai. is samasya ka samadhan ab hal ho gaya hai aur ek baar phir ye absher sarvice ke jariye se kiya gaya hai. haan, Absher eek aisi seva hai jahan se aap apne iqama status ki hi nahi balki aur bhi bahut kuch janch kar sakte hain jaise
- Iqama Status
- Exit re-entry visa issuance
- Extending family visit visa
- Renewing of Istamara
- Renewing Saudi Driving License
- Iqama expiry status
- check any criminal record against your Iqama
to ab chalte hain aur aage padhte hain ki
Criminal record jaanch karne ka kya tarika hai.
criminal record ki jankari lene ke aapke pass apna MOI online ka Account hona chahiye Jo Absher Activation ka Palan karta ho agar aapk pass absher ka account hai to usme app login kar len
Visit: www.moi.gov.sa Absher Account par login hone ke baad menu baar dekh sakte hain us par click karen uske bad Click on
E-Service Tab Is par click karenge to eek new tab open hoga wahan likha hoga
Generalization Report Qurey. is par click karna hai ( Yah
MOI Website ke Data Base men aapke upar
criminal activities check karne ki Anumati deti hai ) Aapke Browser par eek new window open hui hogi uspar Proceed Button par click krne par agar koi message red rang men dikhai de raha hai aur ye likha ho
“There is no Generalization report registered against you” iska marlab hai ki aapke khilaaph koi bhi shikayat nahi ya
criminal record nahi darz hai Allah Sabko Safe rakhe, agar aap pate hain ke aapke khilaaph koi
Criminal record hain to Exit jane se pahle Wait na karen
Jawazat men jayen aur use clearance ke liye aur use clere kara den agar aapne aisa koi kam nahi kiya hai to|